Karbal ki kahani jab, koi bhi Sunaaye ga
Karbal ki kahani jab, koi bhi Sunaaye ga
Karbal ki kahani jab, koi bhi Sunaaye ga.
Dil waaloan ki ankhon se, Ek darya bahaaye ga.
Woh kaafila Sarwar ka, Jis shaan se nikla tha.
Sughra ko khabar kya thi, na laut ke aayega.
Zehra, Zehra, pursa lo bahattar ka.
Mehmaan bulaya hai, ay kufiyo sarwarko.
Kya kumba shahe deen ka, paani nahi paaye ga.
Paamal huwa Qasim, yu ghoroan ki taapoan se.
Kis tarha chacha teri, mayyat ko uthaye ga.
Zahra, Zahra, Qasim ka bhi pursa lo.
Tha hathoke katneka, kuch gham na dilawarko.
Saydaniyo ka parda, ab kon bachaye ga.
Zahra, Zahra, Abbas ka pursa lo.
Tooti hai kamar sheh ki, ghabra na magar Akber.
Farzand-e-nabi tere, laashe ko uthaaye ga.
Zahra, Zahra, Akbar ka bhi pursa lo.
Sote na the tum Asghar, jule me tadapte the.
Dunya ko khabar kya thi, ek teer sulaaye ga.
Zahra, Zahra, Asghar ka bhi pursa lo.
Ashaab ne dam tora, Shabbir ke zanu par.
Kis zaanu par sar apna, Shabbir kataaye ga.
Sarwar ne uthaaye the, sab saathiyon ke laashe.
Shabbir tera laasha, ab kaun uthaaye ga.
Karbal ki kahaani jab, koi bhi Sunaaye ga.
Dil waaloan ke ankhon se, Ek darya bahaaye ga.